Ae Maah_e_Ramzan Aahista Chalna,
hamen Khasa Qarz Chukana Hai..
Kuch Khuwab Hain Jinko Likhna Hai,
Aur Tabeeron Ko Pana Hai..
Kuch Log Hain Ujray Dil Walay,
Unn Sab Mein Piyar Basana Hai..
Aur Khizan Raseeda Angan Mein,
Ab Aman Ka Beej Lagana Hai..
Kuch Toba Karni Baqi Hai,
Aur Rab Ko Humain Manana Hai..
Ae Maah_e_Ramzan Aahista Chalna,
hamen Khasa Qarz Chukana Hai..!!
No comments:
Post a Comment