Ramadhan Ki Amad Hai
Rehmatein Barasane Wala Mahina Hai
Ao Aaj Sub Khataon Ki Maafi Maang Lein
Dar-e-Taurba Khula Hai Is Mahine Mein
Firdous Ki Khusboo Ati Hai
Woh Naseeb Wala Hai Jise Mile Firdous
Ao Aaj Hum Koshish Karein
Usse Paane Ki, Jise Hum Ne Abhi Talak Paya Hi Nahin
Ibadatoon Ke Is Door Mein
Ao Maangein Sub Ke Liye Magfarat
Maangtein Hain Hum Kuch Na Kuch Apne Liye
Chalo Aaj Doosroon Ke Liye Maangein
Ramadhan Ki amad Ki Khusi Hai Bahut
Saath Hi Is Ke Jald Roohsat Ho Jaane Ka Ghum
khuda Kare Waqt Tham Jaein Us Waqt
Jab Baras Rahi Ho Khuda Ki Rehmat Hum Par
Ramadhan Ke Roohsath Hone Se Pehle
Dar-e-Tauba Band Hone Se Pehle
Is Mubarak Mahine Ki Har Fazilat Hasil Kar Lein
Jo Hum Ghuzishta Saaloon Mein Hasil Na Kar Sake
Ramadhan Mubarak… Ramadhan Mubarak…
Ramadhan Mubarak… Ramadhan Mubarak…
No comments:
Post a Comment