Khuda se Husn ne ik roz ye sawal kya,
Jaha main kyon ne mujhe tu ne lazawal kya,
Mila jawab ke tasweer e khana hai dunya,
Shab e daraz adem ka fasana hai dunya,
Hoi hai rang e tagiur se jab namood iss ki,
Wohi haseen hai haqiqat zawal hai jiss ki,
Kahi kareeb tha, ye kuftugu kamar (chaand)ne suni,
Falak pe aam hoi, akther e sehar ne suni,
Sehar ne tare se sun kar sunai shabnam ko,
Falak ki baat bata di zameen ne mehram ko,
Bahr aye phool ke aansoo pyam e shabnam se,
Kali ka nanah sa dill khoon ho gya gham se,
Chaman se rota hoa mosam bahar gya,
Shabab sair ko aya tha, sogawar gya
No comments:
Post a Comment