Bayan main nukta-e-Tauheed aa tou sakta hai
Terey damagh main bu't khana ho, tou kya kahiyey
Muqam-e-faqr kitna buland hai shahi say
Teri nigah ghulamana ho, tou kya kahiyey
Baqi na rahi wo teri aina zameeri
Aey kushta-e-sultani-o-mullai-o-peeri
Koi ye poochey kay wa'iz ka kya bigarta hai?
Jo bayamal per bhi karam Wo Beynyaz karey
Gharoor-e-zehd nay sikhla diya hai wa'iz ko
Kay bandgan-e-Khuda pay zaban daraaz karey
Hawa ho aisi kay Hindustan say aey Iqbal!
Urra kay mujh ko ghubaar-e-rah-e-Hijaaz karey
No comments:
Post a Comment