achi lagti bhala kyon ye fiza shaam ke baad
ho gya ishq to ye ham pe khula shaam ke baad
din mein to ham pe koi sher utarta hee nahin
ham ne to jab bhi, jo bhi likha shaam ke baad
aa ke dekho to sahi kitne nikhar jaate hein
tum kissi roz milo ham se zara shaam ke baad
rooh tak shaamil-e-aawaz hooa karti hei
tum kabhi maang ke dekho to dua shaam ke baad
aaj tak aise parende nahin dekhe ham ne
bhool jate hon jo ghar ke pata shaam ke baad
meri nazron mein wo ba zoq nahin ho sakta
be sabab jo bhi koi ghar mein raha shaam ke baad
bazm-e-yaaran ho ya koi mekhana shakeel
bethne mein wahan aata hei mazza shaam ke baad
by Rajan
No comments:
Post a Comment