Punjabi poetry on Data Ganj Bakhsh Sahib
Sada rahe aabaad tera darbaarTeri sarkar
Sada teri chhaon main paaye
Dukhiya chain qaraar
Sada rahe tera chashma meetha
Sada rahe aabaad tera darbaar
Teri sarkar
Pyaar kia dharti se tu ne
Dharti teri yaar
Pyaar kia insaanon se tu ne
Insaan tera yaar
Marham jese haath tere
Tere boloun main mehkaar
Sada rahe aabaad tera darbaar
Teri sarkaar
Nafrat ki sub deewaron se
Nafrat tu ne ki
Insaanon k beech khilaya
Rahmat ka gulzaar
Sada rahe aabaad tera darbaar
Teri sarkaar
Kis k ander dum hai roke
Tere praim ka raag
Bhooke nange paate hain
Is praim se daad muraad
Wehshi. qaatil. ghaaratger
Andhe, khooni, jallaad
Ho jayen ge barbaad
Khushboo teri jaage her soo
Her soo teri pukaar
Sada rahe aabaad tera darbaar
Teri sarkar
No comments:
Post a Comment