Ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota,
Agar aur jeete rehte yahee intezaar hota,
tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa,
ke KHushee se mar na jaate agar ‘eitabaar hota,
ye jo ham hijr mainn diivaar-o-dar ko dekhate hain.
kabhii sabaa ko kabhii naamaabar ko dekhate hain
vo aaye ghar mainn hamaare Khudaa kii kudarat hain,
kabhii ham un ko kabhii apane ghar ko dekhate hain
Gair lein mehfil mein bose jaam ke ham rahen,
yun tashna-alab paigam ke Khat likhenge,
garche matlab kuchh na ho ham to aashiq hain tumhaare
naam ke ishq ne ‘Ghalib’ nikammaa kar diyaa varna,
ham bhi aadmi the kaam ke
No comments:
Post a Comment