Yado me teri yad thi,
Kia yad thi kuch yad nahi,
Teri yad me sab bhol gaye,
Kia bhol gaye kuch yad nahi,
Yad ho tum sirf yad ho tum,
Q yad ho kuch yad nahi.
Wohi Muntazir nigahein, Wohi Sham-e-gham ka aalam,
Main Azal se tak raha hoon teri waapsi ki rahein.!!!
Tere Hasin Tasavur ka Aasra lekar
Dukhon k Kante Main sare Samet leta hun.
Tumara Naam he kafi h Rahat-e-Jaan ko
Ghamon ki Taiz Hawaon ko Morr deta hn.
jis tarah ki hain yeh devarain yeh dar jaisa bhi hai
sar chupanay ko muyassar toh hai ghar jaisa bhi hai
usko mujhse mujhko uss se nisbatain hain beshumaar
meri chaahat ka hai mehavar yeh nagar jaisa bhi hai
chal para hun shauq-e-beparvaah ko murshad maan kar
raastaa pur_pech hai yan pur_Khatar jaisa bhi hai
No comments:
Post a Comment