Nazar nawaz najaro me ji nahi lagta,
fiza gai to baharo me ji nahi lagta,
na puchh mujse tere gum me kya gujarti hai,
yahi kahunga hazaron me ji nahi lagta
Kafi hai husn ko behlane ke liye,
mohabbat karlo dil ko dukhane ke liye,
chahe bhale pade gam se vasta,
ek hum jaisa dost rakhna sab gamo ko bhulane ke liye
Fiza par asar hawaon ka hota hai,
mohabbat par asar adaon ka hota hai,
koi aisa hi kisi ka diwana nahi hota,
kuch kasoor to nigahon ka hota hai
Waqt guzrega hum bikhar jayenge,
kaun jane ke hum kidhar jayenge,
hum apki parchayi hain yaad rakhna,
jahan tanhai mili wahan hum nazar ayenge
No comments:
Post a Comment