Aaye khaasa-e-khaasaan-e-rusul waqt-e-dua hai
Uummat pe tiree aakay ajab waqt parha hai
Jjo deen barhi shaan say nikla tha, watan say
Ppardais mein woh aaj ghareeb-ul-ghuraba hai
Woh deen, huee bazm-e-jahaan', jiss say charaaghaan'
Aaj iski majaaliss mein na batti na diyaa hai
Jo deen keh tha shirk say aalam ka nigehbaan
Ab iska nigehbaan', agar hai, to KHUDA hai
Jiss deen nay ghairo kay thay dil aakay milaaye
Iss deen mein khud bhai say ab bhai judaa hai
Aalim hai so bay-aqal hai, jaahil hai so wehshi
Mun'im hai so maghroor hai, mufliss so gadaa hai
Choto mein itaa'at hai na shafqat hai barho mein
Pyaaro mein mohabbat hai na yaaro mein wafaa hai
Faryaad hai aye kashti-e-ummat kay nigehbaan'
Bairha yeh tabaahi kay qareeb aa lagaa hai...
Umat hai pareshan khabar lijye aqa
Assi hai pareeshan khabar lijye aqa
Assi hai gunehgar khabar lijye aqa
Farooq hai na tariq hai na mehmood hai koi
Muztar hai musalman khabar lijye aqa
Har samt se muslim pe charha ata hai toufan
Toufan pe toufan khabar lijye aqa
Qaid hai na rehbar hai na salar hai koi
Umat hai pareeshan khabar lijye aqa
Yeh waqt e dua hai
Hai kaisa sitam khoon mein ghalta hain masajid
Maqtool muslman khabar lijye aqa
Sad khaif hain musalman bardastoo ghareeban
Mehfooz nai jaan khabar lijye aqa
Umat hai pareeshan khabar lijye aqa
Is khoof ke alam mein rhein kaise ujagar
Jeena nahi asan khabar lijye aqa
No comments:
Post a Comment