Tu bhi hai shewa-e-arbab-e-raya main kaamil
Dil main London ki hawas, lab pey terey zikr-e-Hijaaz
Jhoot bhi maslehet aamez tera hota hai
Tera andaz-e-tammaluq bhi sarapa ejaaz
Nasha pila kay girana tou sab ko aata hai
Maza tou tab hai kay girton ko thaam ley saaqi
Kati hai raat tou hangama gustri main teri
Seher kareeb hai, Allah ka naam ley saaqi
Mujh ko tou sikha di hai Afrang nay zandiqi
Iss dour kay Mullah hain kyon nang-e-Musalmani?
ho naqsh ager baatil, takraar say kya haasil?
Kya tujh ko khush aati hai Adam ki ye arzaani?
No comments:
Post a Comment