Uss Fizaa Mein Bhi Jalte Rahe Hum kisi K Liye FARAZ
Jahan Chirag Taraste Thay Roshni K liye
Be-basi se uski aankhon mein bhi Aansoo aagae they "faraz"
jab wo khud mujhe judai ka mashwara deney laga.
bhala hathon ki lakeerain bhi mit’ti hain Faraz
kitna pagal hai mera naam mitanay wala
Mohabat me kya kuch nahe lotaya faraz....
Os ko pasand the roshni or ham ne khud ko jaladya.
Ab to mar jane ko jee karta hai faraz
hum jin ke the wo ab kisi aur ke hain
No comments:
Post a Comment